akshya tratiya


Holi nikal gayi, navratri nikal gayi,
Aur aa gayi akshya teej
Bihari tere charan darshan na kar paaye, 
Ye kaisi hai tere bhaktajanon ki takdeer
Vrindavan ki kunj galiyan mai jab, 
Hoti thi tere bakton ki bheed
Un galiyon ko aaj sunsaan dekhkar, 
Mere man mein chubhte bebasi ke teer
Bihariji ab to kholo pat tumhare, 
Ye ankhiyan tumhare darshan ki pyasi hai
Jald ubaro is corona mahamari se, 
Jo manav par pad rahi bhari hai
Tum na ubaroge to kon ubare, 
Tum hi jag ke palanhare ho
Baktjanon ke dukh harne wale, 
Kahlate banke bihari ho
Kahlate banke bihari ho


Bolo banke bihari lal ki jai


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

फादर्स डे बनाम वंचित परिजन

हमारा भारतवर्ष (कविता)

बच्चों के जीवन में दादा दादी/नाना नानी का महत्व